Ay Sogwaro (Marsia)

Ay soogwaro aho buka ka mukham hai
Ab rukhsathe Hussain alehis salam hai
Mehman tumhara jatha hai jo tashna kam hai
Sar peeto qakh orao ke matham tamam hai - twice (jawab)
Ab wo sadaye haye Hussaina na ayegi
Ghar mai tumhare Fatima Zehra na ayegi - twice (jawab)

2)     Ay shahe karbala teri qidmath na hosaki
Ay kushthaye jafa teri qidmath na hosaki
Ay jane Fatime teri qidmath na hosaki
Mehmane nainawa teri qidmath na hosaki - twice (jawab)
Ji bhar ke rosake na ye gardish naseeb ki
Majlis ye akhri hai Hussaine qareeb ki - twice (jawab)

3)     Agle baras Hussain moharrum me ayenge
Baqi rahi hayath tho ye gam manayenge
Aur Fatime ke lalpe ansoo bahayenge
Gar margaye tho qabar me ham qakh odayenge - twice (jawab)
Tayaar qafela hai shehay mashrekain ka
Lo karbala ko jatha hai kunba Hussain ka - twice (jawab)

4)     Bechain Fatima hai na ansoo bahao tum
Mai jaraha heon roke na mujhko rolao tum
Zehmath no ho tho meri ziyarath ko aao tum
Turbath pe ake ashko ki chadar chadao tum - twice (jawab)
Mehman jo karbala me mere paas ayenge
Onsabki peshwayi ko Abbas ayenge - twice (jawab)

5)     Lo alwida hotha hai rukhsath ye tashna kaam
Tum rorahe ho mahe mohurram se subho shaam
Kosar pe apne hath se doonga main bharke jaam
Rukhsath Hussain hotha hai tumpar mera salam - twice (jawab)
Dono jahan me kush raho aur shaad tum raho
Ama dovayen dethi hai abad tum raho - twice (jawab)

6)     Tum qushnaseeb ho tumhe ye martaba mila
Zehra bhi tumme baitke rothi hai ek ja
Kehthi hai mere bache pe karthe haiye boka
Mujhse na hoga inka kabhi shukriya ada - twice (jawab)
Ehsaan na taba hashre bholayegi Fatima
Janath me tumse pehle na jayegi Fatima - twice (jawab)

7)     Haan ashakho Hussain ke aho buka karo
Zehra ka sath do madade mustafa karo
Haqkhe mohabathe shehay bekas ada karo
Ab kooch hai Hussain ka mehshar bapa karo - twice (jawab)
Lo ab vida keejiyo ale rasool ko
Do akhri Hussain ka pursa Batool ko - twice (jawab)

8)     Ay tashnakaam bekaso nakaam alwida
Ay mubtelaye hasratho alaam alwida
Ay bekafan Ali ke gulandaam alwida
Mazboha taig shumre badanjaam alwida - twice (jawab)
Mazlumiyath pe apki jan apni khoyenge
Jabtak hai zinda apke matham me royenge - twice (jawab)

9)     Ay shahe karbalaye moallah salam lo
Ham bekason ke waliyo moula salam lo
Akha salam lo shehay wala salam lo
Ay Fatima ke chaand hamara salam lo - twice (jawab)
Rukhsath ye akhri hai dilafgar ayen hain
Maula salam lo ye azadaar aye hain - twice (jawab)

Comments