Haye Haye Shaam (Safdar Abbas)

Haye haye Zainab, Haye haye shaam (×2)
Bazaar saja hai aur Zainab, be chadar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam

Bazaar mein syed zaadi, ek chaadar mang rahi hai,
Paband rasan shehzadi, ek chadaar mang rahi hai,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Hoton pe buka hai Abid ke, reh rehkar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3)

Aye kaash fanaa ho jaati, us waqt yeh duniya logo,
Jab malka e ghairat roke, karti thi yeh noha logo,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Khud shaam ke raahe roti thi, yeh keh kar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam (×3)

Abbas jari ki khwahar, is dard se mar na jaaye,
Saadat buka karte the, kehti thi Zainab haye,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Fizza ko khoon rulata tha, yeh manzar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3)

Sajjad jhukhaaye sar ko, kanto pe safar karte the,
Ankho se kahu bar saakar, zainab ki buka sunte the,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Khamosh zuba thi aur dil tha, nauha gar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3)

Zanjeer sambhaale ya dil, joh tukre howa andar se,
Yeh nauha nabi zadi ka, kuch kam tih nahi khanjar se,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Dil ho hi nahi sakta patthar, yeh sunkar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam (×3)

Haste hai laeen yeh keh kar, roti hai Ali ki beti,
Baalo se chupa kar chehra, kehti thi Ali ki beti,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Mar jaaye na koi saidani, is gham par,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3)

Aflaaq buka karte hai, faryad haram ki sunkar,
Ek zinda laash ki surat, jab kehti hai sheh ki khwahar,
Main bewatan, main be rida, kis jurm ki, hai yeh saza,
Kehti hai Sakina sar peeto, yeh kehkar,
Haye haye Zainab, Haye haye shaam  (×3)

Comments