Mawla Haq Imam

Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain
Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain (x2)
Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain

1 Woh Abid-e-Beemar tha (x2)
Chalnay se jo, laachaar tha,
Aur shaam ka bazaar tha...
Aur Mustafa ki betiyaa..
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

2 Shabbir ki woh laadli, (X2)
Seenay pe jo, Shah ke pali
Jis ki abaa, bann mein jali...
Mu par tamaachon ke nishaan...
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

3 Pyase gale, khanjar chale (x2)
Chaadar chini durre lagay
Abbas ke parcham talay...
Ro kar kahen, yeh bibiyan..
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

4 Ro kar kahe Qasim ki maa (x2)
Maara gaya, Qasim jawaan
Aye laal mein, dhundoon kahaan...
Mehndi teri, sehra tera...
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

5 Woh Asghar-e-Besheer tha (x2)
Aur Hurmala ka teer tha
Pyaasa gala, kyu kar kataa...
larzi zameen aur aasmaan ...
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

6 Shaam-e-garibaa chaa gayi, (x2)
Abid ko gairat kha gayi
Pehre pe Zainab aa gayi....
Abbas aur, Akbar kahaan....
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

7 Woh bawafa, Abbas tha (x2)
Dukhiyon ki jo, ek aas tah
Paani mila, par na piyaa...
Pyaasi rahi, shehzadiyan...
(Mawla Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain,
Ya Hussain, Ya Hussain) x2

Comments