Shaam Vaalo Pehchano

Shaam walo pehchano,
Koofe walo pehchano,
Ye zainab hai, ye zainab hai

Kaun hai ye bechaadar,
Karbala ki paygambar.
Ye zainab hai, ye zainab hai

Haidari gharana hai, Fatemi viraasat hai
Kaid hone waali to, Haafize imamat hai
Kaid ne balae li, sabr ne duaen di

Ye adaae seekhi hai, murtaza ke maqtab me
Jo bhi baat Ali me thi, wo milegi Zainab me
Yaad karo wo khutbe, pahaado ke dil pigle

Har sitam ki mazil ko, mood ke badal degi
Ek zaba se bhai ka, Inteqam le legi
Darbaro ko sharmaya, baazaro ko rulwaya

Jo bacha tha karbal me, kam kar diya toone
Maqsade shahadat ko ,aam kar diya toone
Aaj ho numaish hai, teri saari koshish hai

Teri beredai to, hurmate rasool bani
Baalo se chupa chehra, varise batool bani
Raat ko janaza maa ka, din me beti be parda

Jab teri sada goonji, khud yazid tharraya
Ab to teri hurmat ka, aakhri zawal aaya
Muskuraya sheh ka sar, waah ay meri khwahar

Bete leke showhar se , ye watan se bikli hai,
Kaise ibne jaafar ko, apna moo dikhaegi
Inteha ki manzil hai, hai tera kaisa dil hai

Karbala se zindaa tak, har sitam se kheli hai
Baap ki tarah beti, apni jang jeeti hai
Ye hai rutba aurat ka, naam rakha ismat ka

Fatema ke rauze par, footfootkar roi
Deen ke lie ay maa, darbadar firi beti
Qabr se jawab aaya, marhaba meri dukhiya

Choomli Zari maine ,har ummid poori hai,
Jao karbala warna ,zindagi adhoori hai
Meri taqdeer chalo, kalbe shamsheer chalo

Comments

Post a Comment