Posts

Showing posts from March, 2017

Aashur Ki Shab Zainab Ne Kaha

Ashoor ki shab Zainab ne kaha, Ay raat zara ahista guzar Ehsaan tera mujh par hoga, Ay raat zara ahista guzar Lut jayenge kal khaimay saray, Jal jaegi masnad Ahmed ki (2) Hojaega kal khaali jhoola, Ay raat zara ahista guzar Suljhane baethi hai Laila, Akber ki bikhri zulfein (2) Maloom nahi kal kia hoga, Ay raat zara ahista guzar Kal pyaase barati ayengay, Kal Qasim ki shadi hogi (2) Hojaengi kal Kubra beywa, Ay raat zara ahista guzar Abbas-e-Alamadar bhi, Talwar pa saiqal karte hai, (2) Kal unko hai johar dikhlana, Ay raat zara ahista guzar Ek baar apne bharay ghar ko, Jee bharke dekh tu ley Zainab, (2) Kal hojaega sannata, Ay raat zara ahista guzar Kis yaas se aur kis hasrat se, Zainab ye bayan karti thi Saeed, (2) Ahista guzar ay raat zara, Ay raat zara ahista guzar

Bhari Darbaar Mein Roti Rahi Kari Zahra (2017)

Haye zahar, haye zahra..(3) Roti rahi khadi zahra..(2) Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2) Bhare darbar mein Na jane kis tarha..(2), haq mangti rahi Zahra Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2) Bhare darbar mein 1) Sanad ke tukde hawa mein uda ke hasne laga, Rasool zaadi se gustakh, aise kehne laga, Bata wo konsi..(2), jageer hai teri Zahra. Bhare darbar mein 2) Hassan Hussain se sacche gawah bhi jhutlaye, Rula ke BIBI ko zalim zara na sharmaye, Bhula na payegi..(2), ummat ki berukhi Zahra. Bhare darbar mein 3) Ye uski beti hai Jisne do lakht chand kiya, Wo jiske noor ne har roshni ko naar kiya, Ise sataao na..(2), dukhyari hai badi Zahra. Bhare darbar mein 4) Nabi ke baad ye kya ho gaya zamane ko, Kyuvkalma go hai chale tera ghar jalane ko, Sahegi kis tarha..(2) tu ye sitamgari Zahra. Bhare darbar mein 5) Siyah baal jo maa ke safed tar dekhe, Tauqeer kaise kahu betiyo ne sar peete, Gayi thi jis tarha..(2), ghar hai thaki thaki Zahra. Bhare darb...

Main Aaraha Hu Sakina (2014)

Haye Haye Haye Sakina Sakina Assalamu alaiki ya sayyidatana ruqaiyya assalamu alaiki ya binta fatimataz zahra sayyidata nisail alameen assalamu alaiki ya binta husainish shaheed sakina sakina..(2) mai aa raha hu sakina..(4) hai bus khatm hone ko har imtehaan koi ghaib se de raha hai sada mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. nigaho me meri hai ab tak wo lamhe rihai haram ko mili jis tarah se aseero ko aabid gae jaise leke tujhe bhi chudakar mai zindaan se bohot jald lejaunga karbala mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. azadari hoti thi ghurbat pe teri tere dil ko hoti thi kitni tasalli magar ab na matam na majlis hai koi tere paas tanhaiya rehgai raha ab na koi teraa aasra mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. lahu bangaya kese aahkho ka pani hui qatl aabid ki kese jawani sununga mai bazar teri zabani karunga mai khud sath girya tere na ro shahzadi theher ja zara mai aa raha hu sakina..(2) sakina.. tujhe ab na pardesi koi kahega watan leke tujhko ye mehdi chaleg...

Di Thi Amma Ne (2014)

Alwida alwida Ae behen alwida..alwida alwida Di thi Amma ne Jo poshaak wo laa do zainab Apne hatho se kafan mujhko pinha do zainab Aaj maqtal me faqat baat tumhari hogi Abhi Amma se mulaqat hamari hogi..(2) Koi paigham agar hai to suna do zainab Hath pabande rasan behna tumhare hoge Mujhko Reh Reh ke khayal aata hai lashe se mere..(2) Teer Kis tarha nikalogi batado zainab Mere laashe ki rahegi tumhe pehchan bahen Chaak kardo mere kurte ka girehbaan bahen..(2) Koi loote na ise aisa banado zainab Saamne Apne sakina se utarwa lo gauhar Abhi kuch der me lut jaega mazloom ka ghar..(2) Ye amanat kisi goshe me chupa lo zainab Bahar aane ko na khaime se mai kehta tumko Hote Abbas to Takleef na Deta tumko..(2) Banake Abbas Mujhe zee pe bitha do zainab Qaid khane ki sambhalo ye amanat bibi God me lo ise mazloom ho rukhsat bibi..(2) Mera damannn meri Bachi se chhuda do zainab Jab se akbar Gae beenai bhi ankho ki gai Laake dedo Ali asghar ki nishani Koi..(2) Kurta besheer k...

Shaam Ki Auraton (2008)

Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum (Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2 (Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum (Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2 Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum Shaam K...