Bhari Darbaar Mein Roti Rahi Kari Zahra (2017)

Haye zahar, haye zahra..(3)
Roti rahi khadi zahra..(2)
Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2)
Bhare darbar mein
Na jane kis tarha..(2), haq mangti rahi Zahra
Bhare darbar mein roti rahi khadi Zahra..(2)
Bhare darbar mein

1) Sanad ke tukde hawa mein uda ke hasne laga,
Rasool zaadi se gustakh, aise kehne laga,
Bata wo konsi..(2), jageer hai teri Zahra.
Bhare darbar mein

2) Hassan Hussain se sacche gawah bhi jhutlaye,
Rula ke BIBI ko zalim zara na sharmaye,
Bhula na payegi..(2), ummat ki berukhi Zahra.
Bhare darbar mein

3) Ye uski beti hai Jisne do lakht chand kiya,
Wo jiske noor ne har roshni ko naar kiya,
Ise sataao na..(2), dukhyari hai badi Zahra.
Bhare darbar mein

4) Nabi ke baad ye kya ho gaya zamane ko,
Kyuvkalma go hai chale tera ghar jalane ko,
Sahegi kis tarha..(2) tu ye sitamgari Zahra.
Bhare darbar mein

5) Siyah baal jo maa ke safed tar dekhe,
Tauqeer kaise kahu betiyo ne sar peete,
Gayi thi jis tarha..(2), ghar hai thaki thaki Zahra.
Bhare darbar mein...
Bhare darbar me roti rahi khadi Zahra

Comments