Shaam Ki Auraton (2008)

Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2

(Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum
(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2

Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi
Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi

Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi
Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi

Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai
Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi

Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana, Beridaa Bibiyon Ko Na Laana
Tumko Asghar Bhi Dega Duaaen, Iski Tanhaiyaan Yun Mitaana

Chhote Chhote Se Baccho Ko Laakar, Paas Iske Sulaaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Qabre Bekas Pe Aansun Bahaane, Haal Qaide Sitam Ka Sunaane
Qaafla Karbala Ko Chalaa Hai, Iske Baba Ka Chehlum Manaane

Itna Kehdo Hamaari Taraf Se, Iska Chehlum Manaaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Shaamiyon Ki Bahu Betiyon Se, Keh Rahi Thi Woh 'Akber' Yeh Roke
Yeh Amaanat hai Pardesiyon Ki, Kar Rahi Hun Tumhaare Hawaale

Mujhse Ik Baar Bas Itna Kehdo, Apna Waada Nibhaaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum

Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo

Comments