Dil Ka Kaaba (2012)

Ya hussain ya hussain

Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me
Ai aabe zam zam ke peene walo, koi hai pyasa karbala me

Kyu hai baqiyya me yeh udasi, rauza muhammad ka kyu hai khali
Bete ko rone baba ko lekar, aayi hai zahra karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Baccho ko maae jhula jhulakar, batlaa rai hai lori sunakar
Dusvi muharram ko jal gaya tha, nanha sa jhula karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Jab mai madine se karbala ki, janib chala toh aawaaz aayi
Pani pilaana kyu ke hai pyasa, mera nawaasa karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Shayad yaha ho shayad waha ho, auu kidhar mai baba kaha ho
Pucho khuda se kitna chali hai, bali sakina karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Yaad aa rahi hai woh dosti bhi, bachpan me jisne humko milaya
Ibne mazahir ko sheh ne likhka, mai hu akela karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Ek ek ayat ne siskiya li, ek ek surat bharti thi aahein
Jab barchiyo par kuch hafizo ne, quran uthaya karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Mara gaya yeh kiska muhammad, iska kaleja cheda gaya kyu
Bole musalman apne nabi ko, hum hi ne mara karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Behurmati kyu karte ho meri, aayat toh padhte tatheer ki tum
Roya musalmaan ki hairaton par, zainab ka parda karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Ammar is ghum ne khu rulaya,jo mustafa ke kandho pe baitha
Ummat ne uske lashe ko haaye, ghodo se raundha karbala me
Makke me kaaba meri jabeen ka hai dil ka kaaba karbala me

Comments