Aseer Ho Ke Chali Hu

Aseer hoke chali hoo salaam lo baba

Yeh ibtheda hai musibat ki inteha bhi nahi
guzar gayi hai qayamat magar gila bhi nahi
phupi ke sar pa kafan ke liye rida bhi nahi
aur aaj hosh may beemare karbala bhi nahi
aseer hoke chali....

Hamara karbobala my qayam ho na saka
tumhare dafn ka bhi inthezaam ho na saka
pade ho khaak pe kuch ehtemam ho na saka
ye zoaf hai ke ada bhi salam ho na saka
aseer hoke chali....

Suna hai shaam ka darbaar jab bhara hoga
yazeed ka sare darbaar saamna hoga
mera to bhai bhi zanjeer may bandha hoga
phupi jo pahunchegi darbaar may to kya hoga
aseer hoke chali....

Hai sar pe khaak bhi gham bhi hai aur buka bhi hai
hai kamsani bhi musibath bhi aur jafa bhi hai
phupi ke saaath rasan me mera gila bhi hai
in aafato se guzarne ka hausla bhi hai
aseer hoke chali....

Hai ab bhi peshe nazar waqiyate karbobala
wahin hai shimr ka khanjar wahin hai sheh ka gala
wahi hai shaam ka bazaar aur wohi koofa
urooj ab bhi sakina ki aa rahi hai sada
aseer hoke chali....

Comments