Binte Zahra Ka Khula Sar Hai

Khuda khair kare..(7)
Binte zahra ka khula sar hai, khuda khair kare..(3)
Binte zahra ka khula sar hai, khuda khair kare..(2)
Aur har haath mein patthar hai, khuda khair kare
Binte zahra...

1. Hurr ke bete pe hi shabbir bohot roye the..(2)
haye, ab to laashe ali akbar hai, khuda khair kare

2. Maarte hai waha'n naizo ko zamee'n par zalim..(2)
dafn jis jaa ali asghar hai, khuda khair kare

3. Kuch qadam door khadi dekh rahi hai zainab..(2)
shimr ke haath mein khanjar hai, khuda khair kare

4. Chauk kar khaak se kehti thi watan mein sughra..(2)
kisi mushkil mein mera ghar hai, khuda khair kare

5. Piche deewar hai aur jalta hua darr aage..(2)
bichme binte payambar hai, khuda khair kare

6. Berida jaana hai zainab ko waha'n par ke jaha'n..(2)
har koi dushman e haider hai, khuda khair kare

Comments