Dua To Maang Sakina Ka Wasta

Hai baab e hawaej maula..(2)
saqqa e sakina maula..
hai baab e hawaej maula
dua to maang sakina ka wasta deke..(2)
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Alam pe jaake sakina ka waasta dena
farera thaam ke ghum apne sab suna dena
jalana naam e sakina ka ek diya jaake
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Alam pe jao to bachho ko saath le jao
waha'n sakina ka pursa do phir dua mango
tumhare haq mein sakina jo khud dua karde
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Rida e zainab e muztar ka waasta dena
ghareeb e zehra ka sharbat pe fatiha dena
duaein maangna haatho'n mein baliya'n rakh ke
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare
hai baab e hawaej maula..(2)
saqqa e sakina maula..
hai baab e hawaej maula
dua to maang sakina ka wasta deke
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Ataa kare jo khuda mujhko ek ghar apna
rakhunga ghar mein sakina ke naam ka hujra
alam ko thaam ke mannat ye maan le roke
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Jo tune maangli aulaad aur ye socha
use sakina ka saqqa main khud banaunga
niyat ye karli jo tune duao'n se pehle
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare

Baland bus ye aqeeda hai mazhar o farhan
husainiyo ki to raahat ka hai yehi saamaan
jo panjetan ke bhikaari bano salike se
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare
hai baab e hawaej maula..(2)
saqqa e sakina maula..
hai baab e hawaej maula

Comments

Post a Comment