Karbala Waalon Ki Zindaan

Karbala walon ki zindaan se rehaai ho gayi
turbat-e-baali sakina se judaai ho gayi

Is khadar maare tamache hai shimr-e-badkaar ne
hashr tak wo mout baba ki rulaayi ho gayi
turbat-e-baali sakina se judaai hogayi
karbala walon ki zindaan....

Momino moo ko chupalo noch daalo sar ke baal
sar barehna dasht may zahara ki jayee ho gayi
turbat-e-baali sakina se judaai ho gayi
karbala walon ki zindaan....

Asghar-e-masoom ka wo muskarana maut par
dekh kar sharminda darya ki tarayi ho gayi
turbat-e-baali sakina se judaai ho gayi
karbala walon ki zindaan....

Sar kata gulzaar jab mushkil kusha ke laal ka
ta qayamat deen ki mushkil kushayi ho gayi
turbat-e-baali sakina se judaai hogayi
karbala walon ki zindaan....

Comments