Yasrab Nazar Aaya

Yasrab nazar aaya
kulsoom ne mehmil ke jo parde ko uthaya
yasrab......
apna tha watan aur paraya nazar aaya
kulsoom ne .........

Moo dhamp ke rone lagi ahmed ki nawasi
veeran sarapa tha allah re udaasi
udja bani hashim ka mehalla nazar aaya
kulsoom ne .........

Wo galiyan jaahan auno mohamad kabhi khele
abdullah wahan phirte thay khamosh akele
har simt may bachon ka sarapa nazar aaya
kulsoom ne .........

Sughra ne khabar paayi ke laut aaye musaafir
khush hogayi roze pe nabi ke hue haazir
kya socha tha sughra ne usay kya nazar aaya
kulsoom ne .........

Ujdi hue har maang thi har godh thi khali
asghar ka shaluka tha sakina ki thi baali
abbas ka parcham bhi akela nazar aaya
kulsoom ne .........

Jis waqt ruki nana ke roze pe amaari
naaqe se giri khaak pe wo dard ki maari
rota hua nana ka jo chehra nazar aaya
kulsoom ne .........

Sughra ne kaha amma se kyun godh hai khaali
ek aah bhari banu ne kuch moo se na boli
rone lagi jalta hua jhoola nazar aaya
kulsoom ne .........

Bin bhai ke daakhil hui jo apne hi ghar may
ghash agaya taakhat na rahi qalb-o-jigar may
begoro kafan bhai ka laasha nazar aaya
kulsoom ne .........

Hujre may nazar aaye nahi qasim-o-akbar
kehne lagi mai chod gayi thi ye bhara ghar
har khabr ke maahol may dhalta nazar aaya
kulsoom ne .........

Bistar to wahan aun-o-mohamad ke saje thay
aur saath may asghar ke khilone bhi rakhe thay
lekin na koi khaylne waala nazar aaya
kulsoom ne .........

Ay sarwar-o-rehaan ghame shaahe huda se
saidaniyan ut-thi na kabhi farshe aza se
aankhon may lahoo hoton pe nowha nazar aaya
kulsoom ne .........

Comments