Zakhm e Akbar Pe Laila

Haye Akbar haaye Akbar..(3)

Keh rahe the ye roro ke sarwar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

Mera farzand Hai khoon mein tarr..(2)
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

1) Zakhm se is qadar khoo'n bahaa hai
khoon e akbar se tarr karbala hai
Naiza e zulm ki loriyo se
Laadla Mera soyaa huwa hai

Koi isko jagaade na aakar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

2) Haath me khoo'n ki mehndi lagaalo
Bass tasawwur me doolha banaalo
Tumne maanii hai jo zindagi bhar
Mannate aaj saari badhaalo

Gurbato ka ye sehra sajaakar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

3) Meri behno ko kab ye pataa Hai
Wo samajhtii Hai ye sorahaa Hai
Sard Hai jism saakit Hai nabzein
Mera kadiyal jawaa marchukaa Hai

Haath seene se iskaa hataakar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

4) Ghum ki kaalii ghataa chaa rahii Hai
Mujhko ye baat tadpaa rahii Hai
Pardaa saidaaniyo ka luteyga
Shaam e gurbat qareeb aarahii Hai

Phir mayassar kahaa hogi chaadar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

5) Khaak me milgaya hai wo baano
Jisko mitti bhi lagne na dii ho
Kitne naazo se paala tha usne
zakhm jaldii se bibi chupaado

Binte zehra na dekhe ye manzar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

6) Haaye meri sakina ki gurbat
Kaise dekhegi bhai ki mayyat
Do janaaze na uth'tenge mujhse
Wo to zindaan kii hai amaanat

Marna jaaye kahii Meri dukhtarr
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

7) Usko ye kehke dena dilaasa
Tuu ne dekha na bhai ka laasha
Teri jaanib se maadar ne leykin
Bekafan ko kafan dediyaa Tha

Naam beemaar sughra ka leykar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

8) Aye hilaal ek mehshar bapaa tha
Khaima e shaah maatam kadaa tha
Ashq aankho se paiham rawaa the
Aal e Ahmad me shor e bukaa tha

Jab ye kehte the sibt e payambar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

Keh rahe the ye roro ke sarwar
zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

Comments