Bazaar Ke Manzar Ko

Bazaar ke manzar ko aur apne khule sar ko bhuli nahi main
Apne bandhe hatho ko bimaar k zewar ko

Uthti huyi andhi ko wehshat ko bayabaa ko,
Chhupte huye suraj ko taariki ko maidan ko,
Chalte huye khanjar ko naize pe tere sar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Masoom sakina ko badhte huye naizo ko,
Rizte hye gaalo ko berehem tamacho ko,
Rizte huye kaano ko khinchte huye gauhar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Lehrate huye naiza haye shimr ka woh badhna..
Aa aake mere pichhe har bibi ka woh chhupna ..
Sholo me ghire ghar ko lut ti huyi chadar ko..
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Jis raat me tanha thi uss raat ke dhalne ko,
Tute huye naize ko uss raat ke pehre ko,
Bachho ke sisakne ko aur khak ke bistar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Yaad aata hai ek maa ka woh khaak me dhans jaana,
Aur aag ke sholo me woh maa ka jhulas jaana,
Jalte huye jhule se lipti huyi madar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Fizza ko mera bhai maa kehke bulata tha,
Dum uska mere bhai ke naam pe jata tha,
Rutbe me jo maa banker aayi usi madar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Ek chand tha badli me chhupta tha nikalta tha,
Parda dar e khaima ka uth ta kabhi girta tha,
Woh khaima e laila se haye rukhsat e akbar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Hai aaj bhi woh girya hai aaj bhi woh zaari,
Hai aaj bhi pathhar ke sine se lahu jaari,
Rote huye pathhar ko pathhar pe rakhe sar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Yaad aata hai dulhan ko ghash kis tarha aaye the,
Ek gathdhi shahe wala jab kaandho pe kaaye the,
Uss laash ki gathdhi ko uss khu bhari chadar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Aati hai naved ab bhi awaz yeh zainab ki,
Hai mujhko qasam sadiyo se sukhe huye lab ki,
Pyase ali asgar ko sukhe huye sagar ko,
Bazaar ke manzar ko, aur apne khule sar ko, bhuli nahi main 

Comments

  1. Haaye Zainab [S.A.], Haaye Sakina [S.A.], Haaye Umme Kulsoom [S.A.]

    ReplyDelete

Post a Comment