Maula Haq Imam

Maula haq imam, ya Hassan, Ya Hussain (×4)
Woh Abid e beemaar tha,
Chalne se joh laachaar tha,
Aur shaam ka bazaar tha,
Aur Mustufa ki betiyaan,
Maula haq imam, ya Hassan, Ya Hussain (×3)

Shabbir ki woh laadli,
Seene pe joh shaah ke pali,
Jis ki abaa ran me jali,
Mu par tamaachon ke nishaan,
(HAYE SAKINA - X6)

Laila ka woh kariyal jawaan,
Ghayal huwa khaakar sina,
Zainab ki thi lab par fughaan,
Mar jaye na beta jawaan,
(HAYE HAYE JAWAAN, AKBAR JAWAAN)

Che maah ka Asghar jo tha,
Maqtal me jaa ke sogaya,
Noha kisi maa ka yeh tha,
Mar jaye na beta yeh maa,
(HAYE ALI ASGHAR, HAYE ALI ASGHAR)

Ibne Hassan sa laadla,
Ghode se joh rondha gaya,
Aflaaq pe kohraam tha,
Haye rone laga tha aasmaan,
(HAYE HAYE JAWAAN, QASIM JAWAAN)

Jab nehr par baazu kate,
Ahle haram pyaase rahe,
Abbas ke parcham talay,
Rokar kahe yeh bibiyaan
(GHAZI BAWAFA, YA ABBAS YA ABBAS ×2 YA ABBAS YA ABBAS)

Aisi behan Shabbir ki,
Jab shaam ko qaidi bani,
Be aal si be pardagi,
Kaise karu haye haye bayaan,
(HAYE HAYE ZAINAB, HAAYE HAAYE SHAAM)

Shabbir Ibne Fatema,
Sheyr e khuda ka laadla,
Fauj e adoob e jab khila,
Har samt thi shor o fughaan,
Ya Hussain......

Comments