Karbala Karbala (Shahid Ali 2018)

Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x3

Waarise Ambiya, zulm seh tha raha,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Moti roti rahi, sar jhukaaye huwe,
Khaak noha pade, mu chupaaye huwe,
Seena Akbar ka teeron se jab chidd gaya,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Leke Qasim ka pamaal saara badan,
Aaye gakri me leke joh shahe zaman,
Allama, allama, ek kohram tha,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Laash Aun o Muhammad ki laayi gayi,
Gir gayi khaak par, roke binte Ali,
Maa ne sajda kiya keh ke shukre khuda,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Baazu e bawafaa, kat gaye nehr par,
Ek baazu idhar, ek bazu udhar,
Rehgayi tashnalab, aaj tak alqama,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Joh nabuwat imamat ki pehchaan hai,
Asr e ashur yeh uska ailaan hai,
Mera nana Nabi, meri maa Sayeda,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Aagayi shaam gham, zulm taaza hui,
Chin gayi baaliyaa, aur tamaache lage,
Choti Zahra ne yeh, roke nauha padha,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Aagaye chodh kar, jab Najaf murtaza,
Ek dukhiya ne phir, uss ghadi yeh kaha,
Baba main lut gayi, meri sar ki rida,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x2

Kaise Shahid padhu, yeh ghamon ki azaan,
Koi aawar na tha, berida bibiyaan,
Ya Hussaina ki hai, chaarsu yeh sada,
Karbala, Karbala, Karbala, Karbala - x4 

https://www.youtube.com/watch?v=KhPu02V3PkI

Comments