Arbaeen Karna Hai

arbaeen karna hai shah-e-karbalayi ka

leke daagh seene par shah ki judaai ka
haq ada kare zainab kaise apne bhai ka
qaafila utar aaya, sabr ki khudayi ka
karbala ke maidaan par fatima ki jaayi ka
arbaeen karna hai....

maut ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai
zulm ke andheron may roshni ka maatam hai
aansuon ke toofaan may tashnagi ka maatam hai
ek behan ke hissay may har kisi ka maatam hai
arbaeen karna hai....

bhai kya sunaaun mai hum pe kya sitam guzre
baad-e-asr-e-aashoora be-kafan thay sab laashe
shaam-e-gham ke jaatay hi maut ke badhe saaye
chin gayi rida meri bhai jal gaye qaimay
arbaeen karna hai....

door tak nigaahon may shaam ka andhera hai
karbala say kufa tak haadason ne ghayra hai
jabse nowne-haalon ne moo ko apne phera hai
maamta ki godhi may maut ka basera hai
arbaeen karna hai....

baad-e-karbala bhai, har qadam qayamat thi
be-rida rasan basta raah-e-shaam se guzri
bhai hum tamaasha thay raastay tamaashayi
har qadam dua yeh thi kaash maut aajaaye
arbaeen karna hai....

bhai qaid khaanay ki teeragi se ho aaye
aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye
khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye
yun sakina bibi ko sab aseer ro aaye
arbaeen karna hai....

sab se juda ho kar jab madina jaaungi
jake maa ki turbat par marsiya sunaungi
karbala ke maqtal may kya huwa bataungi
bhai apnay baazu ke neel bhi dikhaungi
arbaeen karna hai....

bhai ab khudahafiz khabr say chali zainab
bin tere guzaa-regi kaisay zindagi zainab
uth gayi fareed aakhir keh ke ya ali zainab
ranjo gham ki dunya may phir say kho gayi zainab
arbaeen karna hai....

Comments

Post a Comment