Be Rida Shaam Ke Darbaar Me Jaana Zainab

berida shaam ke darbaar may jaana zainab

zalzale aayenge jis waqt zameen ko payham
chaadarein cheen ke le jaaye jo baaniye sitam
aur balwey may tamashayi banay na-mehram
apne baalo hi se moo apna chupana zainab
be rida....

meri naadan sakina ko na rone dena
baad mere koi takleef na hone dena
garm reti pa kabhi usko na sone dena
apne seene pe sakina ko sulana zainab
be rida....

ghurkiya meri sakina ko jo de shimre layeen
sayliya maarne aaye jo usey woh be-deen
khauf ke maarey nikal jaaye na jungle mein kahin
apni aaghosh mein tum usko chupana zainab
be rida....

yeh luta karwan jis waqt madinah pahunche
aake jo dukhtare beemar pidar ko pooche
aur baysheer ko jis waqt wo dukhiya dhoonde
meri sughra ko kaleje se lagana zainab
be rida....

khaafila ahle haram ka jo madina jaaye
aur asnaye safar may mera maqtal aaye
tumko fursat jo ghadi bhar ke liye mil jaaye
chund aansoo meri turbat pe bahana zainab
be rida....

karbala may jo mere ghar pe musibat guzri
aur baazaaro may tum par jo aziyat guzri
muqtasar yeh hai ke jo kuch bhi qayamat guzri
saari rudaad meri maa ko sunana zainab
be rida....

Comments