Garm Reti Pa Main

garm reti pa mai girta hoo sambhalo amma

asr e ashoor tha shabbir thay tanhai thi
mahe zehra pa ghata zulm ki jab chayi thi
shah pa jab noke sina suye zameen laayi thi
girte girte labe zakhmi se ye sada aayi thi
garm reti pa mai....

ghir gaya hoo mai kisi ki bhi mujhe aas nahi
qatl sab hogaye ab koi bhi mere paas nahi
mera qasim nahi akbar nahi abbas nahi
tum mujhe aake kaleje se lagalo amma
garm reti pa mai....

laash qasim ki uthayi hai nazar zakhmi hai
zakhm akbar ka jo dekha hai jiiar zakhmi hai
qalb zakhmi hai badan zakhmi hai sar zakhmi hai
do sahara mujhe baba ko bulalo amma
garm reti pa mai....

mai jo ghoday se giroo tum mujhe taskee dena
pyar karna meri himmat ko duayein dena
daal kar baah galay may mujhe lipta lena
ha dame zibha magar haath hatalo amma
garm reti pa mai....

ab koi ban may mere halq pa khanjar hoga
aur seene pa mere shimr e sitamgar hoga
khoon ka hoga kafan khaak ka bistar hoga
aakhri naaz ye bete ka uthaalo amma
garm reti pa mai....

apne waade ke liye maine har eeza sehli
ye bhi arman mera nikle to iniyat hogi
zibha ke waqt meri tumse tamanna hai yehi
sar mera khaak se zano pa uthalo amma
garm reti pa mai....

Comments