Mere Maula Aao, Ke Muddat Hui Hai

mere maula aao ke muddat hui hai
sitam zaalimo ke uthaate uthaate
tere dushmano ki guzarti hai maula
tere doston ko sataate sataate

guzarti hai jaisi guzaarenge maula
na haari hai himmat na haarenge maula
sitam thak gaya hai hue kund khanjar
lahoo momino ka bahaate bahaate
mere maula aao...

kahin nahua matam kahin aahozaari
safar karbala ka musalsal hai jaari
jhuke jaa rahe hai zaeefon ke kaandhe
jawaano ke laashe uthaate uthaate
mere maula aao...

layeeno ne hum par mazaalim wo dhaaye
jawan saal laashon pe laashon uthaaye
chale hai shahadat ka sehra sajaaye
wo shaadi ka sehra sajaate sajaate
mere maula aao...

jo behne hai zindan to bhai nahi hai
hai maa baap baakhi to bete nahi hai
jo bete hai baakhi to saaya nahi hai
jigar kaampta hai bataate bataate
mere maula aao...

gharon se chalay thay jo purse ki haatir
wo maare gaye raaston may musaafir
kabhi jaate jaate juloose aza may
kabhi mashad o karbala jaate jaate
mere maula aao...

thi sughra ke lab par sada ye duhaai
chalay aao baba chalay aao bhai
atakti hai seene may ab meri saansein
tumhein dayr hojaye na aate aate
mere maula aao...

zaban se jo ki baat usne nibhali
piya thanda pani na saaye may aayi
zamane se uthi hai asghar ki maadar
qalayon may jhoola jhulaate jhulaate
mere maula aao...

khuda jaanta hai wo kaisa tha manzar
kaleje pe abid ke chalte thay khanjar
jawani zaeefi ke dar par khadi thi
sakina ki turbat banate banate
mere maula aao...

Comments