nauha kuna hai zainabe muztar ali ke baad
kohraam hai machaa huwa ghar ghar ali ke baad
mehraab gham zadaa hai namaazi kidhar gaya
viraan hai rasool ka mimbar ali ke baad
manzar ubhar ke aa gaya baazaare shaam ka
zainab ke sar se jab giri chaadar ali ke baad
shehzaadi ban ke aayi thi kufe me kal yahi
dar dar phiri hai zainabe muztar ali ke baad
jo sar tha bosa gaahe ali o mohammadi
neze pe char gaya hai wohi sar ali ke baad
kuch khune murtaza ki hai kuch karbala ki hai
surkhi jo chaa gayi hai falak par ali ke baad
asghar ka nau nehaal bhi khun me nahaa gaya
ujra hai is tarha se bharaa ghar ali ke baad
dekho sitam zamaan ka zindaane shaam ka
rote rahe hain aale payambar ali ke baad
guzra hai ye misaal ha is ghar pe ay zafar
zehra ki betiyaan hain khule sar ali ke baad
nauha kuna hai zainabe muztar ali ke baad
Comments
Post a Comment