Soona Hai Madina

soona hai madina, soona hai madina

ashoor ko aaya ye khathe fatima sughra, soona hai madina
kab laut ke ghar aaoge ya shahe madina
soona hai madina, ashoor ko aaya....

mai dar pe khadi rehti hoo ek aas lagaaye, bhaiya nahi aaye
shikwa nahi akbar se hai taqdeer se shikwa
soona hai madina, ashoor ko aaya....

do din se mere halq se pani nahi uthra, qurban ho sughra
dil kehta hai pardes may tum pyase ho baba
soona hai madina, ashoor ko aaya....

pardes may bhaiya ho agar byah tumhara, armaan hai mere
baandhe huwe sehra meri turbat pe bhi aana
soona hai madina, ashoor ko aaya....

mai rathon ko soti hoon to jaag ut-thi hpon aksar,
kya baat hai aakhar
bhikraye huwe baal nazar athi hai zehra
soona hai madina, ashoor ko aaya....

ek sheeshe may kuch khaak liye phirti hai daadi, aur karthi hai zaari
mazloom hussaina mere mazloom hussaina
soona hai madina, ashoor ko aaya....

amma ki bhari godh rahe maang na ujde, khaliq se duwa hai
ya rab mere bayheer ka abaad ho jhoola
soona hai madina, ashoor ko aaya....

khat padke hussain ibne ali khoob sa roye, aur sar ko jhukaye
qasid ke khari rakh diya ek nanha sa laasha
soona hai madina, ashoor ko aaya....

Comments

Post a Comment