Ya Musa Bine Jafar (2018)

sayyedi maula
as-salam alaika ya moosiye kazim
yabna zehra ya musa bine jafar
babul hawaij ya musa bine jafar

kaisa qaidi hai ke marne pe bhi azad nahi
kaisi ghurbat hai janaze pe bhi faryad nahi
mere maula pe hui kaunsi bedaad nahi
haye nazdeek koi rone ko aulaad nahi
bekas o tanha ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

malkaye qum ka padar waaliye mashad ka padar
seerat e mustufavi waarise hauze kausar
haye mazloomi janaza hai sare raahe guzar
jabke maujood hai rone ko pisar aur dukhtar
pul pe tha laasha ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

qaid may chauda baras kaise guzaare honge
surate ashk musalle pe sitaare honge
tauq o zanjeer bhala kisne utaare honge
ghamzada arsh pe quran ke paara honge
kaise doo pursa ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

qaide tanhai thi aur moosiye kazim maula
qatm beenayi thi aur moosiye kazim maula
sitam aarayi thi aur moosiye kazim maula
maut ghabrayi thi aur moosiye kazim maula
waqt kada tha ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

kasrate sajda se gathri sa badan aap ka tha
log kehte thay musalle pe hai kapda sa pada
par qaza ho na saka waqte shahadat sajda
dam ba dam aati rahi arsh se awaaz e khuda
dayr na kar aa ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

haakim e waqt ne kaisa ye sitam dhaaya hai
qabr may maadare hasnain ko tadpaya hai
zehr khurmo may mere maula ko dilwa hai
jasade paak ko mazdooron se uthwaya hai
roti thi zehra ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

koi aisa na tha mayyat ko kafan pehnaye
mashad o qum may koi jaake khabar pahunchaye
rone waale na thay mazdoor janaza laaye
girya karne ko janaze pe parinde aaye
aasman roya ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

ibne jafar na aseeri pe sitam par roye
tauq par roye na zanjeer e qadam par roye
ha agar roye to bas shahe umam par roye
apne jad abide bemaar ke gham par roye
padte thay noha ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

rote rehte thay shahe karbobala ke gham may
bandagi se hue faariq to rahe matam may
akbar o qasim o abbas thay chashmay nam may
saans ki doriyan tooti hai isi aalam may
ya mere maula ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

as-salam ay mere mazloom ghareebul ghurba
as-salam ay rasan o jor may pabande jafa
as-salam ay sharafe baab-e-hawaij maula
alwida sarwar o rehan ke maula aaqa
dete hai pursa ya musa bine jafar
yabna zehra ya...
sayyedi maula...

Comments