Karbal Ke Jaane Wale Jab Karbala Pahuchna

karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

kehna ke mere dil me
bus itni arzu hai
maula tumhare dar par
aane ki justuju hai
tum ho imame aali
aur mai hu ek sawali
aka tumhare dar se
koi fira na khaali
kabse pukarta hu
dedo mujhe sahara
har simt behre ghum hai
milta nahi kinara
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

is dehre bewafa me
beyaaro benisha hu
bezaar zindagi hu
begaanae jahaan hu
armaan kuch nahi hai
bus ek dua hai lab par
sab hasrate bhula kar
aankho me ashq bhar kar
faryaad kar raha hai
ek ranjo gam ka maara
ehle aza hu mai bhi
ghumkhwaar hu tumhaara
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

apna hai kaun kisko
mai haale ghum sunaau
hu mustarif kaha se
taskeene kalb laau
bechain ho raha hu
mujhko karaar dedo
ashko ke waste se
ghum ki bahar dedo
gham aakhri ho mera
maidaane karbala me
so jaau rote rote
gehra rahe kaza me
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

roze ki jaliyo se
karna dua lipatkar
rakh dena thokaro me
unki mera muqaddar
jis waqt multaji ho
tu shahe do jahan se
us waqt meri haajat
likh le teri zabaan se
sabke naseeb me ho
haasil teri dua ka
karbobala hai markaz har sahibe aza ka
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

shehre musafirane
rahe khuda wahi hai
yasrab se jo gaya tha
woh kafila wahi hai
jaan deke kar gae wo
nusrat shahe huda ki
kabre hai us zamin me
ansare bawafa ki
karna hai pesh tujhko
har bekafan ka pursa
paamaale zulme aada ibne hasan ka pursa
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

sahil pe alkama ke
bhai zarur jana
abbas bawafa ka
pursa wahi pe dena
fir sue kabre akbar
jana bade adab se
milti thi jiski surat
shakle shahe arab se
zainab ke ladlo ka
pursa zarur dena
tar apne ansuo se
asgar ki kabr karna
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

maqtal se karbala ki
khake shifa utha ke
ek maa ko pursa dena
furde nasheb jake
usdam nazar me hoga
aashur ka jo manzar
behal ranjo gam se
khudko wahi girakar
khidmat me sayyada ki
zaro kataar rona
unka shareeke maatam meri taraf se hona
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

har pal tere safar ka
ab kamyab hoga
jo kaam tu karega
kaare sawaab hoga
aakhir me dastbasta
ek ilteja hai meri
ai karbala ke zaaer
jab wapsi ho teri
us waqt yaad rakhna
hargiz na bhul jana
mera kafan waha se
lekar zarur aana
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

us din ke muntazir hai
kabse kalimo meesum
karbobala pahuchkar
yeh bhi kare muharram
seene pe daste matam
ashko se ankh tar ho
ehsase ghum ki had se
har saas ka guzar ho
nauha zabaan par ho
mazlume karbala ka
sad hai waa shahida
sad hai waa hussainaa
karbal ke jane wale jab karbala pahuchna
mazlume karbala se mera salam kehna

Comments

Post a Comment