Aye Chand Muharram Ke

Aye chand muharram ke tu badli mein chala jaa


Tujhe dekh ke marjaye naa.. (2) Beemar hain Sughra.

1) Ghar Zahra ke lutne ki khabar tune sunayi,
Tujhe dekh ke roti hai Muharram mein khudayi,
Chauda so(1400) baras beete.. (2)
Sab karte hai shikwah.

2) Milne ke liye bhai ko bechayn badi hain,
Kab se Ali Akbar ki yeh raho'n mein khadi hain,
Bichdi hai yeh muddat se.. (2)
Ise tu na nazaar aa

3) Veeran gharo'n mein na ise neend hain aati,
Akbar ki judai hain ise khoon rulati,
Qadmon ke nishaan dhamp ke.. (2)
Baythi hai sar-e-raah.

4) Gin gin ke to Sughra ne yeh din hain guzare,
Zinda hai to Akbar ke waado'n ke sahare,
Din raat tadapti hain.. (2)
Ise aur na tadpa.

5) Bhaiyya ki judayi mein paraishaan hai rehti,
Har roz yeh Nana ko roro ke hai kehti,
Akbar na mila Nana.. (2)
Main marjaungi tanha.

6) Qasad ko diya khat mein ye paigham likha ke
ek baar to mil jaa mujhe seene se lagake
patrati hui nazrein..(2)
kab dekhegi chehra

7) Waada jo kiya behen ko seene se lagake
mai shadi karunga to tere paas hi aake
mai saat moharram ko..(2)
lautunga na ghabra

8) Rone nahi  dete mujhe raato'n ko musalmaa'n,
Beemari sa behaal hu kuch roz ki mehmaa'n,
Har simt se hain mujko.. (2)
Ab Maut ne ghera

9) Behno ka to bhaiyyo se rishta hi ajab hai
tum bhoo gaye mujhko ye kaisa ghazab hai
is aas pe zinda hu..(2)
dekhu tera chehra

10) Sughra ke naseebo mein to rona hi likha hai
sarkaar e masooma ko mili kaisi saza hai
khat aaya na akbar ka..(2)
roti rahi sughra

Aye chand muharram ke tu badli mein chala jaa

Tujhe dekh ke marjaye naa.. (2) Beemar hain Sughra.

Aye chand muharram ke tu badli mein chala jaa

Comments