Kya Dekhti Hai Sughra

Haaye zainab..(6)


Kya dekhti hai Sughra, Zainab ke aasuon mein

Manzar hai Karbala ka, Zainab ke aasuon mein

1) Barchi ka zakhm taza, ta zindagi rahega..(2)
Akbar ka hai kaleja, Zainab ke aasuon mein

2) Sughra nazar uthaao, qasim ka haal dekho..(2)
Bikhra hua hain laasha, Zainab ke aasuon mein

3) Ay deeda-e-tassawur, tujhko dekhai dega..(2)
Chota sa ek jhula, Zainab ke aasuon mein

4) Abbas ke burredan, lakhoN ki daastan hain..(2)
Behta hai gham ka dariya, Zainab ke aasuon mein

5) Zindan-e-Shaam mein hain, choti si qabr lekin..(2)
Maujood hai sakina, Zainab ke aasuon mein

6) Ab aun aur mohammed, bhi yaad aa rahe hain..(2)
Hone laga izaafa, Zainab ke aasuon mein

7) Zulm o sitam ke manzar, sab dekhle Madina..(2)
Hai Shaam aur Kufa, Zainab ke aasuon mein

8) Shabbir pesh-e-dawar, jayenge saath lekar..(2)
Bheega hua amama, Zainab ke aasuon mein.

9) Be pardagi ka aalam, kaise Adeel likhe..(2)
Khud dekhle zamana, Zainab ke aasuon mein

Comments

  1. plz try to make it in urdu..thanks

    ReplyDelete
  2. Haye bibi Zainab(s.a) 😭😭😭

    ReplyDelete
  3. Hey zainab a.s 😭😭

    ReplyDelete
  4. Unknown24 September 2019 at 09:53
    plz try to make it in urdu..thanks

    ReplyDelete

Post a Comment