Pursa Hussain Ka (2019)

Zahra qubool kijiye pursa HUSSAIN ka

Pyase ka bewatan ka shahe mashraqain ka


1) Jab maah e moharram ne khabar gham ki suna di
Rukh kar ke baqaiyya ka ye momin ne sada di
Tashreef laye farshe..(2), aza SHEH ka bich gaya
ZAHRA qubool kijiye....

2) Mazloom ke gham me hui maghmoom KHUDAI
Phir naam pe pyaso ke sabeelen hain lagayi
Ghar Ghar me hai HUSSAIN ki..(2), ghurbat ka tazkerah
 
ZAHRA qubool kijiye pursa...

3) Har mod pe dharas jo raha binte ALI ki
Wo jiski shahadat pe kamar SHEHki jhuki thi
Us sher ke kate hue..(2), shano'n ka wasta
ZAHRA qubool kijiye....

4) Aayi jo madine me zinda'n se palat kar
Ghar jane se phle gayi maadar ki lahad par
ZAINAB ne maa ki qabr pe..(2), di pehle ye sada
ZAHRA qubool kijiye....

5) GHAZI ko isi maa ne sikhayi thi wafayaen
beto ke liye bharti bhala kaise wo aahein
Nauha tha ye baqaiyya me..(2), UMMUL BANEEN ka

6) Pardes me ummat ne jise Zakhm diye hain
Ek din me jise daagh bahattar ke mile hain
Us par salaam jiska..(2),  bhara ghar ujad gaya

ZAHRA qubool kijiye...

7) Jeene na dia usko musalmano ne bibi
Pala tha jise aapne armaano se bibi
Haye rula rula ke..(2), use zibha kar dia
ZAHRA qubool kijiye....

8) Mazloom ki gardan pe wo chalta hua khanjar
Khoo'n unko rulata hai takallum wohi manzar
Dadi ki ujdi qabr pe..(2), MEHDI ka hai nauha
ZAHRA qubool kijiye

Comments