Ae Chand Muharram Ke, Tu Badli Me Chala Jaa

Aai chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mer jaayai na beemar hai Sughra

Ghar Zehra ka lutnai ki khabar tu nai sunai
Tujhai dekh kai roti hai muharram main khudai
Choda so baras beetai (x2) 
sab kertain hain shikwa
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mer jaayai na beemar hai Sughra


Milnai kai liyai bahi ko baichain bari hai
Kab sai Ali Akber ki yeh yahon main khari hai
Bichiri hai yeh mudat say (x2)
Issai tu na nazar aa
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mer jaayai na beemar hai Sughra


Veeran gharaon main na issai neend hai aati
Akber ki judai hai issai khoon rulati
Qadmon kai nishan dhamp kai (x2)
behti hai sar-e-Rah
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mar jaayai na beemar hai Sughra


Gin gin kai to Sughra nai yeh din hain guzarai
Zinda hai to Akber kai wadon kai saharai
Din rat tarapti hai (x2)
issai aur na tarpa
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mar jaayai na beemar hai Sughra


Bhaiya ki judai main paraishaan hai rehti
Har roz yeh nana ko ro ro kai hai kehti
Akber na mila nana main (x2)
mar jaun gi tanha
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mar jaayai na beemar hai Sughra


Ronai nahi daitai mujhai raton ko musalman
Beemari sai bai haal hun kuch roz ki mehmaan
Her simt sai hai muj ko (x2)
ab mout na gehr
Ae chand muharram kai tu badli main chala ja
Tujhai dekh kai mer jaayai na beemar hai Sughra

Comments