Aaj Zainab Yateem Ho Gayi


Ghar Mein Farsh-e-Azza Bich Gaya Hai.
Khana-e-Rab Matam Bapa Hai.
Soag Mein Doba Ghar Syeda Ka.
Aaj Zainab yateem hogayi.

Utha Raha Hai Janaza Ali Ka.
Aik Mehshar Ka Alam Tha Barpa.
Sab Ke Honton Pe Tha Aik Noha.
Aaj Zainab yateem hogayi.

Ro Rahe Hain Yeh Mehrab-o-Minbar.
Keh Rahe Hain Yeh Jibreel Ro Kar.
Ibn-e-Muljim Ne Yeh Zulm Dhaya.
Aaj Zainab yateem hogayi.

Arsh Par Mustafa Ro Rahe Hain.
Sab Ke Sab Anbiya Ro Rahe Hain.
Hai Farishton Mein Kuhram Barpa.
Aaj Zainab yateem hogayi.

Koi Kulsoom Ko De Dilasa.
Aur Tarapti Hain Gham Se Khadija.
Maula Abbas Karte Hain Noha.
Aaj Zainab yateem hogayi.

Kitne Hai Log Kufe Me Aisi,
Jiske Maula Ne Dukh Dard Baantey,
Chinn Gaya Aaj Unka Maseeha,
Aaj Zainab yateem hogayi.

Ghar Me Farshe Azaa Bich Gaya Hai,
Aaj Kufe Me Matam Bapa Hai,
Sogh Me Dooba Ghar Sayeda Ka,
Aaj Zainab yateem hogayi.

Uthh Raha Hai Janaza Ali Ka,
Ek Mehshar Ka Alam Hai Barpa,
Sab Ke Honto Pe Hai Ek Noha,
Aaj Zainab yateem hogayi.

Bayn Karte Hai Farhan o Mazhar,
Farshe Majlis Pe Yeh Baat Kehkar,
Dijiye Apne Bibi Ko Pursa,
Aaj Zainab yateem hogayi.


Comments