Nikla Hai Janaza Koi


Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.
Aflak Mein ik Shoor Hai Matam Ke Asar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Afoos Keh Masjid Mein Namazi Giya Mara.
Kuch Kam Nahi Yeh Mehshar Qayamat Ke Asar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Zainab(SA) Se Yeh Keh Do Keh Woh Dil Khol Ke Roye.
Shabir(AS) Ki Hamsheer Hai Rone Ko Na Tarse.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Abbas(AS) Zara Zainab-e-Muztar(AS) Se Khabardar.
Faryad Mein Hat Jaye Na Chadar Kahin Sar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Han Bhol Na Jana Inhein Kofe Ke Makeeno.
Guzrein  Gein Yeh Shehzadiyaan Iss Rah Guzar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Ashab Bhi Sun Paye Na Jis Bibi Ki Ahat.
Sar Nangay Wohi Guzre Gi Iss Rah Guzar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Shabir(AS) Ko Yaad Aa Gayi Khud Apni Sakina(SA).
Zainab(SA) Ko Hataya Giya Jab Lash Padar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Yaad Aa Giya Zainab(SA) Ko Woh Pehlu-e-Shakista.
Roomal Hataya Giya Baba Ke Jo Sar Se.
Nikla Hai Janaza Koi Allah Ke Ghar Se.

Comments