Noha Kuna Hai Zainab e Muztar Ali Ke Baad


Azadaro, Zainab ki zindagi mein na aayi koi kushi, 
Bigda kuch is tarha se, muqadar ali ke baad.

Noha Kuna Hai Zainab e muztar Ali key baad,
kohraam heh macha hoowa ghar ghar Ali ke baad

Mehraab ghumzada hai namaazi kidhar gaya  (x2)
Veeraan hai rasool ka mimbar Ali baad,
Noha Kuna Hai Zainab e muztar Ali ke baad

Shehzadi banke aayi thi Kufe me kal yahi (x2)
Dar dar, phirri hai Zainab e muztar Ali ke baad,
Noha Kuna Hai Zainab e muztar Ali ke baad

Manzar ubhar ke aagaya bazaar e shaam ka (x2)
Zainab ke sar se jab giri chaadar Ali ke baad,
Noha Kuna Hai Zainab e muztar Ali ke baad

Bewaa aur yateem rahe intezaar me (x2)
Kitne ghareeb beyte the darr par Ali ke baad,
Noha Kuna Hai Zainab e muztar Ali ke baad


Kis dil se ab Hussain parhenge namaze Eid (x2)
Masjid mein jaa keh royegi shabbar Ali ke baad
Noha kuna hai Zainab e muztar Ali ke baad


Kulsoom apne baba ko jee bar ke dekh lo (x2)
Sehri na esi hogi mayassar Ali ke baad
Noha kuna hai Zainab e muztar Ali ke baad


Kuch khoon e murtaza ki hai kuch Karbala ki hai (x2)
Surkhi gocha rahi hai falak par Ali ke baad,
Noha kuna hai Zainab e muztar Ali ke baad


Dekho sitam zamaane ki zindan e shaam mein (×2)
Roti rahi hai aale payambar Ali ke baad,
Noha kuna hai Zainab e muztar Ali ke baad

Zainab yeh kehke soowe Madina chali zafar (×2)
Hum kya karenge Kufe me rehkar Ali ke baad,
Noha kuna hai Zainab e muztar Ali ke baad.


Comments