Aaja Mere Hussain

Aaja mere Hussain

Tu chand hai mere ghar ka tu phool hai is aangan ka
Tu is dil ki hai dhadkan tu noor hai in aankhon ka
Teri yaad may tadpoo din bhar jaagun mai saari rayn
Aaja mere Hussain (X4)

Kya chakki pees ke beta is din ke liye tha paala
Khanjar hai galay pe pyase manzar ye dehun kaise
Ahmed ka nawasa hai ye beta hai mera hussain
Aaja mere Hussain (X4)

Ghar baar luta kar dekhun ye haal bhi dilbar dekhun
Tu tanha khada hai ban may ujdi kook is ban may
Chaale hai mere is dil par ashkon se tar hai nayn
Aaja mere Hussain (X4)

Khoon roti hai ye dukhiya bebas hai kitni mamta
Mehshar ka hai ye manzar sajde may sar aur khanjar
Lillaah rehm tu karna kaunain huwe bechain
Aaja mere Hussain (X4)

Be-aab na zibha kar tu allah se kuch to darr tu
Kya soch ke tu badta hai zehra ka ye pidya hai
Kyun arsh ko tu dhaata hai khudrat ke hai ye bain
Aaja mere Hussain (X4)

Dil par hai udaasi chaayi balon se maqtal jhaadi
Beenayi gayi hai maa ki tooti hai kamar bhi meri
Ye din bhi kaisa aaya hyder ke noor e ain
Aaja mere Hussain (X4)

Khanjar ko chalta dekha pyase ko tadapta dekha
Baakhi hai no koi ghar may meri dunya luti pal bhar may
Beemar bacha kunbe may thay maa ke shor o shain
Aaja mere Hussain (X4)

Be-aas tadapti khaahar nikli hai ghar se baahar
Maqtal may aayi zainab kya uspe hai ye musibat
Bichde hai ran may sardare jina hasnain
Aaja mere hussain (X4)

Saabir hai jahan may iktaa iqbal hai jiska banda
Qurbani ki ab khaatir zehra hai ran may haazir
Aa godh may meri aaja maa kabse hai bechain
Aaja mere hussain (X4)

Comments