Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Utra Jo Aasman Se Mehzar Ba Shoor-o-Shain.
Bait-ul-Sharaf Mein Goonj Uthe Syeda Ke Bain.
Farmate The Habib-e-Khuda Khuda Se Shah-e-Mashreqain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Karb-o-Bala Mein Mera Pisar Mara Jayega.
Pyasa Rahega Boond Na Pani Ki Payega.
Ansar-o-Aqarba Ki Yeh Lashein Uthayega.
Islam Ko Bachayega Mera Yeh Noor-e-Ain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Asgar Sahega Yeh Har Ik Ranj-o-Malal Ko.
Jhole Se Le Ke Jayega Bano Ke Lal Ko.
Pani Magar Na Dega Koi Nonehal Ko.
Pyasa Hi Mara Jayega Asghar Sa Noor-e-Ain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Sar Sab Se Aagay Naize Pe Ho Ga Hussain Ka.
Gar Bhai Be-Kafan Tu Behen Hogi Be-Rida.
Darbar Mein Yazid Ke Jayega Qafila.
Zainab Darbar-e-Sham Mein Ban Jayegi Hussain,
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Yeh Sun Ke Bolein Fatima Zahra Dohai Hai.
Fart-e-Alam Se Aankhon Mein Tareeki Chaayi Hai.
Baba Khabar Yeh Aap Ne Kaisi Sunai Hai.
Pata Nahi Hai Mera Dil-e-Dard Mand Chain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Phir Syeda Ne Pocha Aye Taj-e-Sir-e-Yaqeen.
Kahiye Abu-Al-Hasan Bhi Tu Honge Wahin Qareen.
Main Aur Aap Honge Kaha Koi Bhi Nahi.
Na Main Na Tum Na Honge Ali Fateh-e-Hunain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.

Jal Jaein Gaye Khiyam Yeh Aafat Bhi Aayegi.
Zainab Ke Bazuon Mein Rasan Bandhi Jayegi
Rukhsar Pe Tamache Sakina Bhi Khayegi.
Jalti Zameen Pe Hoga Tan-e-Shah-e-Mashreqain.
Hussain-o-Minni Wa Ana Minal Hussain.


Comments

Post a Comment