Karbala Jaane Ki Kwaish Hai Magar Hu Main Ghareeb

Ya Hussain (×2)
Ya Hussain, Hussain Hussain (×4)

Aye mere maula, pyaas yeh bujhaado,
Kahin main mar na jaun (tum mujhe bachaalo) ×2
Main tadap raha hu, main sisak raha hu,
Ab toh is ghada ko, (Karbala bulaa lo) ×2

Main ghareeb, Hussain Hussain,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×4)

Karbala jaane ki kwaish hai magar hu main ghareeb,
Jaane kis din mujhe hoga tera deedaar naseeb,
Tere dehleez pe marjaau main rote rote,
Aur dafnaa diya jaau tere roze ke kareeb,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×6)

Ishq e sarwar mein tadapta hai mera dil aise,
Qaid zindaan mein ho koi parinde jaise,
Maula kuch zaade safar paas nahi hai mere,
Main nahi jaanta jaunga main kab aur kaise,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×6)

Apne darbaar faqeero ko dikhaado maula,
Behte ashkon pe zara rehem toh khaao maula,
Karbala jaane se pehle na qaza aajaye,
Maut se pehle bas ek baar bulaalo maula,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×6)

Qafela jitne soowe karbobala jaate hai,
Laakho zawaar tere dar pe chale aate hai,
Kya khata hogaye humse hamare maula,
Ek hum hai joh tadapte yahi reh jaate hai,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×6)

Shams hota na kamar hota na aftar hota,
Kaash main aapke dehleez ka patthar hota,
Karbala jaata kabhi uddke Najaf aata Hassan,
Kaash main insaan na hota main kabutar hota,
Ya Hussain, Hussain Hussain (×6)

Comments