Maula Koi Ghum Na De

Maulaayiyo husainiyo Rabb ka hai ye Karam
Tum ho dua e fatema Shabbir ki qasam
Apney ghumo ko bhoolkey kartey ho sheh ka ghum
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain
aaye ho tum jahaa mey baraaye ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

1) kartey ho tum azaa e shahinshaa e karbala
Milti hai tumko fatema zehra se ye dua
Tum par huwi hai ye bhi ataa e ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

2) sab ko Husaini maao ney hairaan kardiya
Sheh ki azaa pey Beto ko qurbaan lardiya
Jin maao ney bachaayi sadaa e ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

3) baithey na apney Ghar mey shahadat ke qauf se
sarr pey kafan pehenkey julooso mey Jo chaley
Jo apni jaan dekey bachaaye ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

4) qaayam rakhey qudaa Meri behno ka hausla
Maatam ridaa e Zainab o kulsoom ka kiyaa
Odhey rahii saro pey ridaa e ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

5) paani pilaaye pyaaso ko Jo bhi sabeel se
nazr o niyaaz haazri maula ki Jo karey
Jo sab lutaakey apna nibhaaye ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

6) shaayar ho maatami ho koi sozkhwan ho
Zaakir ho wo husain ka ya Nauhakhwan ho
Farsh e aza pey Jo bhi sunaaye ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

7) Abbas e baawafa ke Alam ko sajaaye Jo
Taaboot fatema ke pisar ka uthaaye Jo
Ghar mey bichaaye farsh e aza e ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain

8) kartey hai sheh ki MESUM o SALMAN naukari
Hai wakf zikr e karbobala mey ye Zindagi
Detey rahengey hum ye dua e ghum e Husain
Maula koi ghum naa dey siwaa e ghum e Husain
 

Comments