Ya Fatima Rida Me Chuppa Lo Hussain Ko

Mir Hasan Mir (2018)
Ya fatima rida mein chupa lo hussain ko
Ya ghareeb ya hussain
haye ghareeb, haye hussain
haaye.. arey
maqtal mein gir raha hai..(2)
sambhalo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3)

maqtal mein gir raha hai..(2)
sambhalo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3)

1. Paiwast hai ghareeb ke pehlu mein barchiya'n
tumko bhi uthne deti nahi tooti pasliya'n
lekar ali ka naam..(2)
utha lo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

2. Deewar o darr ke  beech jo armaan reh gaye
rakhi hui thi dil mein jo mohsin ke waaste
wo loriya'n bhi aaj..(2)
suna lo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

3. Sola pehere ki pyaas hai aur hai labo pe dumm
dekar ghareeb bete ko abbas ki qasam
paani agar mile to..(2)
pila lo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

4. Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarha
godi mein leke teesri shabaan ki tarha
kuch der ho sake to..(2)
sula lo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

5. Haider tadap rahe hai payambar hai beqaraar
tum kaise sun rahi ho sadaein ye baar baar
ek shor hai zamee'n par..(2)
gira lo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

6. Ache nahi irade yazidi sipaah ke
pao'n nikal rahe hai rakabo se shaah ke
ghazi nahi hai tum hi..(2)
sambhalo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

7. Zainab sada ye deti hai aye beqaraar maa
zakhmo ko milke baandhegi haider ki betiya'n
khaime mein ek baar..(2)
bulalo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

8. Rone lagi aye mir takallum wo ghum zada
phailake apne haath jo shabbir ne kaha
haye godi mein thodi der..(2)
sulalo hussain ko
ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2)

Comments