Yeh Sada Deti Hai Zainab

Ye sada deti hai Zainab mere jaani Abbas (×2)
Ho kahan tum mere baba ki nishaani Abbas
Ye sada deti hai Zainab mere jaani Abbas (×2)

Tum jo Darya pe gaye aaye na wapas Abbas (x2)
Kaun ab lega khabar aao na wapas Abbas
Tumse kehti hai yeh Zehra (x2) ki nishaani Abbas

Muntazir darr pe tumhari hai sakina Abbas
Aur baccho ko bhi deti hai dilaasa Abbas
Ab chacha aaenge ab (x2) aaega paani Abbas

Saath chhuta hai toh roti hai sakina Abbas
Har qadam par yehi kehti hai sakina Abbas
Laut aao nahi ab (x2) khwaaishe paani Abbas

Kaise kaise hai sitam aur sakina Abbas
Ghamzada jaaegi duniya se sakina Abbas
Ab palat aao mere (x2) haider-e-sani Abbas

Ab na Qasim hai na akbar na mere dono pisar
Hum pe khaaye jo rehem koi nahi aisa bashar
Koi hamdam nahi yaawar (x2) nahi jaani Abbas

Qatl sab ho gaye ab koi mere saath nahi 
Sab toh sab asghar-e-naadan bhi mere saath nahi
Gham hai pyaaron ka toh ab (x2) Tashnadahaani Abbas

Lut gayi lut gayi karbal mei toh aakar Abbas
Tooti naize ki ani seene mei aakar Abbas
Baap se uththi na mayyat (x2) woh jawaani Abbas

Sin tha atthaaravan aur maut ka saaman hua
Haaye puraa na mera koi bhi armaan hua
Rann mei yun mitt gayi akbar (x2) ki jawaani Abbas

Khaime jal jaaega jal jaaega sab kuch Abbas
Woh laeen chheen ke lejaaenge sab kuch Abbas
Ab kahan paaegi amma (x2) ki nishaani Abbas

Meri bacchi wahan beemar hai sughra Abbas
Kaise bardaasht karegi meri sughra Abbas 
Kaise keh paaungee rudaad (x2) Zabaani

Qatl sarwar hue ab koi humara na raha
Dhoondti hu tumhein ab koi sahaara na raha
Khushk ab ho gayi ashkon (x2) ki ravaani Abbas

https://youtu.be/56_LZUvd1Kk 

Comments