Ali Jaan Ali Akbar

Ali jaan ali akbar..(2)
Wa waila wawaila shud, wa waila wawaila shud..(2)
shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2)
kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar

shabihe payambar, haye haye ali akbar..(2)
kaise jiyegi tere bin haaye ye madar, aye jaan ali akbar

1. Beta ali akbar madar ko pukaro
wa waila wawaila shud
ghumzada madar ko chehra to dikhalo
wa waila wawaila shud
khaak se utho, mujhko bulalo..(2)
maa hai pareshaan kaha ho mere dilbar
aye jaan ali akbar

2. Qaid hui beta zindaan chali maa
wa waila wawaila shud
saare shahido'n ka Allah nigehbaa'n
wa waila wawaila shud
ghar hua veera'n aao meri jaa'n..(2)
hogaya sajjad akela mera dilbar 
aye jaan ali akbar

3. Maa ka ye armaa'n tha tujhe dulha banati
wa waila wawaila shud
maa teri dulhan ko naazo se sajati
wa waila wawaila shud
ho nahi paayi aas ye puri..(2)
aise gaye, aaye na maida'n se palatkar
aye jaan ali akbar

4. Maa hai rasan basta, sar tera sina par
wa waila wawaila shud
balwa e aada mein laaya hai muqaddar
wa waila wawaila shud
aye mere pyaare, noke sina se..(2)
dekhle maa teri hai balwe mein khule sar
aye jaan ali akbar

5. Beta ali akbar madar ka hai waada
wa waila wawaila shud
sog manaungi ta umr tumhara
wa waila wawaila shud
ab na piyungi, thanda mai paani..(2)
ab na mai baithungi kabhi saaye mein jakar
aye jaan ali akbar

6. Puch liya mujhse sughra ne jo tera
wa waila wawaila shud
kaise bataungi, akbar nahi aaya
wa waila wawaila shud
royegi sughra, tadpegi sughra..(2)
tere bina kaise jiyegi teri khwahar
aye jaan ali akbar

Wa waila wawaila shud, wa waila wawaila shud..(2)

Comments

Post a Comment