Jangal May Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab

jangal may bhare ghar ko luta aayi hai zainab
ay shehre madina
abid ko kisi tarha bacha laayi hai zainab

na qasim o akbar rahe bhai bhi sidhare
sab hi gaye maare
be gor unhe dasht may chor aayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

wo shame ghariban ho ya wo sham ka bazaar
abid rahe lachaar
sab zakhm isi qalb may bhar laayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

kya kya na sitam raah may sadaat ne jhela
mai tujhse kahoo kya
baaghi ki behan sham may kehlayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

parda jo sikhati rahi wo bibi khule sar
phirti rahi dar dar
bazaaron may darbaron may ho aayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

aaja tu kaneezi may meri bola sitamgar
aye shah ki dukhtar
ye lamha wohi tha jahan ghabrayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

zindan may kahin kho gaya bhai ka nageena
masoom sakina
do baaliyan zindan se le aayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

zindan se reha hoke bhi baakhi hai aseeri
matam kare tu bhi
rassi ke nishan is liye le aayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

ye zakhm mere qalb ka jeene nahi dega
hai zulm hi aisa
shabbir sare dasht hai ghar aayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

poochegi yehi fatema sughra abhi mujhse
akbar nahi aaye
dukhiya ke sawalon se hi ghabrayi hai zainab
ay shehre madina
jangal may...

Comments