Jao Ke Na Ab Deyr Karo

khafela lut gaya amma mera lashkar na raha
amma nana ki nishani ali akbar na raha
rehgaya dard e kamar haye baradar na raha
ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha
aur ab dam e zibha ye poore mere arman karna
arsh ke neeche na baalon ko pareshan karna

jao ke na ab dayr karo, dekho na amma
ab laal tera zeen pe hai aur na zameen par

aap aayi hai amma mai salami ko na utha
hai dard kaleje may jo uthne nahi deta
hasrat thi tere pehlu mai dam mera nikalta
mai chain se sojata tere godh may madar
ab laal tera zeen pe....

kuch dayr may naize pe rakha hoga mera sar
na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar
chal jayega us waqt tere qalb pe khanjar
ghode abhi daudenge meri laash ke upar
ab laal tera zeen pe....

mai subh se ta asr uthata raha laashe
daman may chune qasim e naushah ke tukde
lipta ali akbar ka kaleja tha sina se
amma mere chehre pe hai khoon e ali asghar
ab laal tera zeen pe....

kis haal may amma hai teri godh ka paala
maqtal may mera khogaya har ek ujaala
hai kaun sakina ko meri poochne wala
soyegi mere seene pe kaise meri dukhtar
ab laal tera zeen pe....

dekho to qayamt hai bapa ahl e haram may
qaime se nikal aayi hai zainab mere gham may
ab aane ko hai bibiyan bahar koi dam may
samjhao unhe amma rahe qaime ke andar
ab laal tera zeen pe....

lo saans ukharne lagi dil doob raha hai
nazron may meri zainab e muztar ki rida hai
abid se thi umeed so wo ghash may pada hai
kya hoga mere baad sakina ka muqaddar
ab laal tera zeen pe....

ay sarwar o rehaan bayan kaise ho manzar
sheh kehte thay amma ye kada waqt hai mujhpar
kis tarha kaleje se lagoo aap ke uth kar
chumoonga qadam aap ke ab mai lab e kausar
ab laal tera zeen pe....

Comments