Sakina Utho Meri Jaan Utho

Sakina uttho. meri jaan uttho, rehaayi milee
Chalo ghar chaley
Yeh karti thi maa, lahad par bukaa. meri laadli,
 Chalo ghar chaley

Yahaan sey chalo, chalein Karbala
Waheen par tumhey milengay chacha.
Sitham jo huvey, bathaana unhey
Dikhaana unhey, yeh kurtaa jalaa
Chacha jaan ko, dikhaana zaraa, ridaa khoon bhari,
Chalo ghar chaley

Bathaana unhey, kabhi saqthiyaan
Milee kis qadar, tujhey ghurkiyaan
Hamaari ridaa, luti kis tarhaa.
Chinee kis tarhaa, teri baaliyaan
Bathaana unhey, bujhi kis tarha, teri tashnagi,
Chalo ghar chaley

Padar sey milo, toh dil joee ho
Bathaana unhey, bahot royi ho
Qasam lo agar, tumhaarey bina
Sakina kabhi, kahin soyi ho
Lahad baap ki, miley jab tujhey, tu kehna yehi
Chalo ghar chaley

Lahad jab miley, tujhey bhaayi ki
Tu kehna usay, meri laadli
Rehaayi milee, hameh qaid sey
Hameih ab nahi, azeeyath koyi
Meray bey zubaan, uttho ghar chaley, Shabi-he-Nabi,
Chalo ghar chaley

Labb-e-al-qamaa, tu karna fughaan
Teri mauj hai, abhi takh rawaan
Meri pyaas par, huvey jo fidaa
Chacha kay meray, hai baazu kahaan
Kahaan Mashk hai, kahaan hai Alam, kahaan hai Zari
Chalo ghar chaley

Na ab gham koyi, na uftaad hai
Woh zanjeer sey, ab aazaad hai
Phupi bhi teri, teray saath hai
Teray saath hi, woh sajjad hai
Meri gham zadaa, shab-e-gham katti, saher ho chuki
Chalo ghar chaley

Labboun par teray, yehi baat thi
Watan jayenge, kabhi hum phupi
Tujhey shimr ka, nahi khauff ab
Sataayengay na, tujhey ab shaqi
Nikal qaid sey, shuroo hum karey, nayi zindagi,
Chalo ghar chaley

Ghareeboun ka yeh, lutaa qaafela
Vidaa hokay phir, watan jayega
Tujhey paayegi, jo Soghra teri
Toh beemaar ko, mileygi dawaa
Galeh milkay phir, bahot royegi, woh behnaa teri,
Chalo ghar chaley

Mazaar-e-Nabi, laraz jaayegaa
Bahen jab teri, kareygi bukaa
Kahaan hai chacha, kahaan hai padar
Kahaan hai bataa, baraadar mera
Sunaadey usay, yeh rudaad-e gham, yehi beybasi,
Chalo ghar chaley

Gayaa marqadh-e-Sakina pay gar
Kareyga wahaan, yeh Mazhar bayaan
Ataah umr kar, isey daayemi
Yeh Irfaan hai, tera nauhakhawn
Wahaan jaakay phir kahega nahi mera dil kabhi
Chalo ghar chaley


Comments

Post a Comment