Utho Sakina Chalein Karbala

Sakina aye Sakina 

Zindann se jab riha hue sadate karbala 
Maa ne lipat k qabre sakina pe di yeh sada 
Utho sakina chale karbala 

Choti si turbat pe maa ne kaha 

Zindan se jata hai ab qafla

Mujhe shahzadi tumhari qasam 
Na rakhun gi zindan se bahir qadam 
Safar ki ab hoti hai tayarian 
Amari mei bethe hai ahl e aza 
Ghurbat ka mere tumhe wasta 

Woh pehle k jese to ghurbat nahi 
Aye bibi hamari woh halat nahi 
Tumhe shamiyon se ab aye meri jaan 
Kafan mangne ki zaroorat nahi 
Lo mil gai hai tumhari rida 

Mujhe yaad asghar ki hai babasi 
Lahad se woh mayat nikali gai 
Akele mei rehne na dun gi tumhe 
Bharosa nahi shamio ka koi 
Rehte hai charo taraf ashqian 

Yeh shami kahan tumko behlai gay 
Tumhari lahad per nahi ai gay 
Rahay ga andhera hi zindan mei 
Haram jab yahan se chale jai gay 
Kon ai ga phir jalane diya 

Kahani padar gi sunao gi mei 
Agar neend ai sulao gi mei 
Akele na naqe pe bethu gi tum
Tumhay sath apnay bithao gi mei 
Ab to rasan mei na hoga gala 

Mujhe maar daale ga bus yahi ghum 
Qamar hai bete tumhari tukham 
Waram bazou ka mujhe yaad hai 
Tumhe to dikhai bhi deta hai kam 
Akbar se bibi mile gi shifa 

Bari dair tehri hai darbar mei 
Yahan per na roko ziyada unhe 
K pehlu pe ek hath rakhe hue 
Sada de rahi hai sakina tumhe 
Lene ko ai hai khud sayedda 

Thi zindan mei akber ajab woh ghari 
Rehai pe roti thi her ek phoopi 
Idher khoon rota tha abid udhar 
Sakina lahad mei tarapti rahi 
Jab bhi yeh madar ne ro ker kaha ​

Comments

Post a Comment