Aa Rahe Hai Teri Janib Aye Zameen e Karbala

Hussain ya hussain..(3)
Karbala, karbala..(8)
Hum aa rahe hai..(3).. Karbala
Hum aa rahe hai..(3).. Karbala

Maula labbaik.. Aaqa labbaik
Maula labbaik.. Aaqa labbaik

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye
mashq e nusrat ke liye hai sar zameen e karbala 
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

1. Aurte, bache hai budhe aur jawa'n bhi saath hai
kudsiyo jinn o malak kaun o makaa'n bhi saath hai
za'ere karbobala, Mahdi e jaa'n bhi saath hai
Hussain ya hussain..(2)
badh rahe hai shauq se sab shayeqeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala

2. Roza e Haider se hoti hai wafa ki ibteda
mojiza jisko hai samjha ye hai zahra ki dua
hai karodo ka juloos aur saath hai farsh e azaa
Hussain ya hussain..(2)
ab najaf tak bich gayi hai sar zameen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

3. Is ziyarat ke safar mein sahib e kirdaar hai
parcham e abbas hatho mein hai sab bedaar hai
aye Imam e asr nusrat ke liye tayyar hai
hussain ya hussain
muntaqim ke muntazir hai momineen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

4. Lashkar e Mahdi karo wo dabdaba ye manzilat
ye najaf se karbala tak ka safar hai ma'refat
marg bar taghoot hai ye marg bar sufiyaniyat
Hussain ya hussain
nusrat e Mahdi karo zere nageen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

5. Khana e kaaba ki deewaro se uttha shoro shayn
aasma'n ko dekhta hai Fatima ka noor e ayn
hajj ko umre mein badal kar chal diye maula hussain
Hussain ya hussain..(2)
aazmeen e hajj hue hai aazmeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

6. Parda e ghaibat uthega mere maula aayenge
gar bulaya aapne paidal bhi chal kar jayenge
saath mein maa baap bache aur bhai layenge
Hussain ya hussain..(2)
kar qubool in zehmato'n ko aye makeen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

7. Ek majlis hogi rozo par pohoch kar aur bayn
ek taraf abbas honge ek taraf maula hussain
kaisa girya hoga kya zakir ki hogi zebo zayn
Hussain ya hussain..
ek jagah hoge bahattar sama'een e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

8. Chauda farsakh tak hume khana khilata kaun hai
za'er e shabbir ko paani pilata kaun hai
saaf jute karke ye aasu bahata kaun hai
Hussain ya hussain..(2)
Allah, Allah dekho shaan e zaereen e karbala

Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)
mashq e nusrat ke liye hai arbaeen e karbala
Aa rahe hai teri janib aye zameen e karbala..(2)

9. Ho sharaf hasil ziyarat ka qamar maango dua
shadma'n har ek qadam par bus yehi hai sochta
roza e abbas dekhunga to halat hogi kya
Hussain ya hussain..(2)
saamne jab aayegi mere zameen e karbala

Comments