Haye Mazlooma, Fatima Zahra

Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)
Jaise sadme aap bibi, sehgayi baba ke bin,
gar yeh par jate dino par misle shab ho jaate din,
Haye maasooma, Fatima Zahra
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)

Hai laqab sidiqa tera jante the yeh sabhi,
zulm ke darbar me tu phir bhi jhutlaayi gayi.
Haq nahi paaya, Fatima Zahra.
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)

Mitt nahi paya thi bibi baap ka gham qalb se,
Gham naya ek milgaya hai, qatl e Mohsin ka tujhe,
Qalb rota tha, Fatima Zahra.
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)

Waqt e niza aone wali se yahi faryad ki.
Aap ki khidmat jo puri kar na paayi ya Ali,
Yu hai sharminda, Fatima Zahra,
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)

Baad mere pyaare se bacho ko rakhna ya Ali,
Na kabhi mehsoos hone dena madar ki kami,
Ab chali dukhiya, Fatima Zahra,
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3)

Shab ki tareeki mein mayyat ko meri le jaana tum,
Zaalimo ko meri mayyat par na aane dena tum,
Ho gi mehwe buka, Fatima Zahra,
Haye mazlooma, Fatima Zahra (x3i

Comments