Janab e Fatima Zahra

Zahra.. Fatima Zahra..(2)
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Mai Zehra hu mujhe pehchano..(2)
ye kehti hai wo ro rokar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

1. Rasan basta gulu e haider e safdar kabhi dekha
kabhi dekha hai darr jalta..(2)
shikasta pasliyo ko thaam kar,
kehti hai ghut ghut kar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

2. Wo bacche chote chote sehem kar madar se lipte hai
bohot betaab hote hai..(2)
wo bachho ko sambhale ya rakhe
marham wo zakhmo par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

3. Sar e darbaar aayi qadmo pe chalti hui Zahra
magar jab de chuki khudba..(2)
sahar leke fizza ka gayi baba ki turbat par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

4. Masaeb mujhpe jo toote dino par wo agar padte
to din raato mein dhal jaate..(2)
mujhe tum paas bulwa lo
yehi kehti hai ro rokar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

5. Shikasta pasliyo'n ke zakhm mein wo dard badhta tha
magar poshida hi rakha..(2)
namaze padh rahi thi rakh ke
daaya haath pehlu par
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

6. Falak bhi keh raha tha ye aziyat dene walo se
ye kalma padhne walo se..(2)
jise jhutla rahe ho tum
wohi hai juzwe paighambar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

7. Shab e rukhsat hai waqt e akhri hai dum ukhadta hai
ke sab kunba bichadta hai..(2)
utha tareeki e shab mein
janaza haye ye kehkar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

8. Hai bibi ki azaa ke din mein hu qalbe tapa majid
ho kaise shadmaa'n majid..(2)
bus ek nauha ho lab par
haye Zahra bint e paighambar
janab e Fatima Zahra

Khadi hai masjid e nabawi mein hokar
bekaso muztar, janab e Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra
Zahra.. Fatima Zahra

 

Comments