Ya Binte Nabi Fatima Tashreef Le Aao


Ya Zehra A.S , Ya Zehra A.S, Ya Zehra A.S

Chaand Muharram Ka Roya, Aur Hum
Jab Aaya Muharram...
Har Ankh Hui Nam...
Yeh Madar-E-Hussnain A.S Se,
Karte Hein Ilteja
Saray Azadaar....

Ya Bint-E-Nabi Fatima A.S Tashreef Le Aao
Bethe Hain Azadar Aza Khanay Main Aao

Ghar Apna Aza Khana-E-Shabeer A.S Banaya
Matam Ke Liye Farsh-E-Aza Ghar Ma Bichaya
Ya Fatima Zejhra A.S Tumhe Pursay Ko Bulaya
Saqa-E-Sakeena A.S Ka Alam Humne Sajaya
Tum Aa Ke Aza Khanay Ki Touqeer Barhao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao

Jo Aap Ne Paaye Hein Sar-E- Karb-O-Bala Ghum
Hum Ahl-E-Aza Laye Hein Un Zakhmo Ka Marham
Yeh Soz-O-Salam Aah-O-Buqa Marsiya Matam
Barsaengay Ankhon Se Abhi Ashk-E-Aza Hum
Ae Bibi A.S Inhe Zeenat-E-Roomal Banao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao

Ik Roz Ma Ujra Hai Jo Zainab A.S Ka Bhara Ghar
Us Ghar Ke Azadar Hein Sab Farsh-E-Aza Par
Peetein Gay Azadar Kabhi Seena Kabhi Sar
Thoda To Sukoon Payega Faryad Ko Sun Kar
Humrah Agar Syed-E-Sajjad A.S Ko Lao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao

Hum Shakl-E-Payambar A.S Ka Hai, Besheer  Ka Matam
Laila S.A Ki Buqa, Bano-E-Dilgeer A.S Ka Matam
Behno Main Bapa Chadar-E-Tatheer Ka Matam
Sajjad A.S Ke Zakhmo Ka Hai Zanjeer Ka Matam
Abbas A.S Ko Aur Zainab-E-Muztar A.S Ko Bulao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao

Barpa Hai Yahan Qasim A.S-0-Abbas A.S Ka Matam
Hai Dukhtar-E-Shabeer A.S Ke Ehsaas Ka Matam
Sookhay Hue Koozon Ka Kabhi Piyas Ka Matam
Jo Toot Gai Dasht Main Us Aas Ka Matam
Sharbat Pe Alamdar A.S Ki Ab Nazr Dilao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao 

Ae Bibi A.S Zara Shor Suno Ah-O-Buqa Ka
Dil Tukre Hua Jata Hai Har Ahl-E-Aza Ka
Zakir Ne Kiya Zikr Jo Bazar-E-Jafa Ka
Kya Haal Hai Pucho To Zara Zain-Ul-Iba A.S Ka
Bazar Ka Hai Zikr To Baqar A.S Ko Bhi Lao 
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao

 Beghor -O- Kafan Syed-E-Zeeshan  A.S Ka Pursa
Bazar Ka Pursa Hai Yeh Zindaan Ka Pursa
Sadaat A.S Ke Bikhre Hue Saman Ka Pursa
Manzoor Karo Mazhar -O-Irfan Ka Pursa
Mil Jaye Sanad, Nohay Pe Gar Ashq Bahao
Bethe Hein Azadar Aza Khanay Main Aao


Comments