Bistarr Se Tharr Tharrake (Marsiya)

Bistar se thar tharra ke utthi thaamkar asaa,
Qabr-e-Nabi pe Faatahey aakhri padhaa,
Hum saaeyon ke ghar gayi rukhsath ko aur kaha,
Loh saahibo bahel karo ab kooch hai mera   
   Eiza thi tum sabho ko, meri shor o shayn se,
   Kal Fatima na hoyegi tum sona chayn se.

Hum saaryaah ke huqooq se aagaah hai jahaan,
Logo mere yateemon se rehna nigaahabaan,
Ab saath inkaaur tumhara hai hum kahan,
Bin maa ke hothi hai meri dukhiyaari betiyaan.
   Bachpaan pa apne bachon ke aansu bahaatihu,
   Tum par Hasan Hussain ko main choday jaati hu.

Rokar kabhi Hasan ko galay se lagaa liya,
Aaghosh me Hussain ko gaahey bithaa liya,
Rukhsath kiya kisi mo kisi ko bulaa liya,
Padhne ke waastekabhi Quran uthaa liya.
   Kehthi thi gaah bachon se muh apna modd ke,
   Kal soonay ghar mein sona hai basthi ko chodd ke.

Sunlo waseeyathein meri is waqt ya Imam,
Fizza se mere baad adalat se lena kaam,
Hushyaar Fatima ki amanath se subho shaam,
Do betiyaan di bete hai aur bas mhuda ka naam.
   Maine badde dukho se yeh sab bache paale hai.
   Haq ke hawaale tum yeh tumhaare hawaale hain.


Hai aarzoo ke qabr main mujhko Hasan litaaye,
Shabbir mere laashey ka mooh Qibla roo phiraaye,
Phir khud kahaa nahin nahin bacha hai darr na jaaye.
Naagaah khelte howe dono yateem aaye,
   Chaathi lagaa ke boli ke lo hum toh marte hai,
   Tum se sulook dekhiye kya log karte hain.


Lekar balaayem beti ki Zehra ne yeh kaha,
Rothi toh hu ziyaada na Zainab mujhe rulaa,
Kuch bhaaiyon ke sompney ka samjhi mudh-dua,
Tu inki rone waali hai Zehra tere fidaa,
   Kya bas mere jo marzi e parwardigaar hai,
   Zainab tamaam kunbey ki tu sogwaar hai.


Yeh kehti thi ke ghash ne diya mauth ka payaam,
Hujre se nikle rote huwe aqrobaah tamaam,
Tarteeb e laash le liye bahar gaye Imam,
Zehra ne yaa musalley pa apna kiya muqaam,
   Likhaa hai bas namaaz isha ki adaa howi,
   Aur ghul utta ke binte nabi ki qazaa howi


Maatha Hassan ne laashe ke maathe pa rakh diya,
Ro ro ke amma amma kahaa aur ghash huwa,
Talvo se apne maathe ko Shabbir ne malaa,
Paaon me dam na paaya toh yeh kaan mein kahaa,
   Main aapka ghulaam hoon aur noor e ain hoon,
   Awaaz doh Hussain hoon Amma Hussain

Comments