Baghdad Ka Qaidi

YA MUSA-E-KAZIM X6
haye haye imam kazim imam x3
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

bazaar-e-shaam x2 hai aankhon me sajjad ka lab par nauha hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

khud qaid jahan par kazim hai har din hai raat ke jaisa
zindaan hai yeh bhi tang magar har raat raza ka baba
zindan-e-shaam x2 jo yaad aaye deewar se sar takrata hai 
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

hai door nigaho se lekin is ka bhi jawan hai beta
jab yaad raza ki aati hai ruk karke karbobala ka
zakhmi akbar x2 ke seene se nazro se bose leta hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

jab shaam ke saaye badte hai badti hai sadaye girya
ek dard sa dil me uthta hai kehte hai tadapkar maula
hai saath raza x2 ke masooma zinda me sakina tanha hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

mazloom paraye desh me hai dharas hai dil ko phir bhi 
mil jayega mujhko gusl kafan basti hai musalmano ki
mazloom hussain x2 ki gurbat par dil khoon ke aansoo rota hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

hai chauda baras se qaid magar phir bhi wo yehi hai kehta 
abid ka ruku aur mera ruku ek jaisa nahi ho sakta
main tanha hoo x2 woh maa behne bazar se lekar guzra hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

mazloomi matam karti hai padhti hai gurbat nauha
woh jiske dada ko aakar jibraeel jhulaye jhula 
laasha uska x2 mazdooro ne baghdad ke pul par rakha hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2

baghdad ke qaidi ne har dum abid pe kiya hai girya 
lekin akbar is gurbat par sajjad bhi rota hoga
zanjeero me x2 tha jakda hua jab kazim ne dum toda hai
kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai x2
baghdad ka qaidi rota hai 
baghdad ka qaidi rota hai

Comments