Aye Zameen e Karbala (Salaam)

Lashaa e Asghar ko rakh kar, qabr mein sheh ne kaha,
Aye zameen e Karbala
Yeh amanat hai meri rakhiyo hifaazat se zara,
Aye zameen e Karbala

Hai yeh bekas ka pisar, Aye zameen e Karbala.
Khoon mein sab ta ba tar, Aye zameen e Karbala
Behre khaaliq rehem kar, Aye zameen e Karbala
Bekasi par kar nazr, Aye zameen e Karbala
Apne pehlu, mein issey aaram se di joh sulaa, howega ahsan tera
Laash se inkaar mat kar, khoon se ko inkaar tha,
Aye zameen e Karbala.

Yeh mera noor e nazar, Aye zameen e Karbala
Chodd ke aaya hai ghar, Aye zameen e Karbala
De amaa iss ko agar, Aye zameen e Karbala
Honge khush khairul bashar, Aye zameen e Karbala
Par mein waakif hu na denge, chain yaa bhi ashqiya,
Ek sitam honga naya,
Dhoond kar yeh qabr mein kaatenge bachhe ka gala,
Aye zameen e Karbala.

Aa iss nadaan ke, Aye zameen e Karbala.
Chaao kya baano ke the, Aye zameen e Karbala.
Kehti thi woh din dikhe, Aye zameen e Karbala.
Ghutniyo Asghar chale, Aye zameen e Karbala.
Milgayi saari umeedein khaak me nashaad ki,
Maut usko aagayi,
Godh baano ki howi khaali tera pehlu basaa,
Aye zameen e Karbala.

Lashaa e Asghar ko rakh kar, qabr mein sheh ne kaha,
Aye zameen e Karbala

Ghar me laasha hai pada, Aye zameen e Karbala
Kis tarha jaau bata, Aye zameen e Karbala
Dil dehelta hai mera, Aye zameen e Karbala
Haal baano ka ho kya, Aye zameen e Karbala
Phasliyo waale ko apne jab ke murda paayegi,
ranj se mar jaayegi,
Dekh kar nanhi si mayyat, maa ka dil phatt jaayega,
Aye zameen e Karbala

Ab yeh haal e dil rubaa, Aye zameen e Karbala
Dekh sakta dusra, Aye zameen e Karbala
Hain lahad mein bhi sada, Aye zameen e Karbala
Yaad karke rounga, Aye zameen e Karbala
Teer lagte hi woh lena, hichkiya mu khol ke,
Woh lipatna baap se,
Woh uchalna halq se khoon ka tadapna laash ka, Aye zameen e Karbala

Lashaa e Asghar ko rakh kar, qabr mein sheh ne kaha,
Aye zameen e Karbala
Yeh amanat hai meri rakhiyo hifaazat se zara,
Aye zameen e Karbala

Comments